Aaj mai phir se aapke liye ek kissa le kar aaya jisme ek chidiya ne apna ghosla ek khet me banaya tha aur usme chidiya ke bacche rehte the.ek shaam jab chidiya wapas aayi tab usne dekha ki uske bacche udaas hai to usne poocha aisa q to baccho ne bataya ki aaj kisaan aaya tha aur wo keh raha tha ki kal wo apne beto ko bhejega aur fasal katwa dega to hum log kaha rahenge to chidiya ne kaha aisa kuch nahi hone wala kuch bhi nahi hoga tum log chinta
Mat karo aur aisa hi hua waha koi bhi nahi aaya magar ek din phir se jab wapas aayi to baccho ne kaha ki aaj phir kisaan aaya tha aur wo keh raha tha ki kal mazdooro ko laayga aur fasal katwa dega to hum log kaha jaaynge to phir se chidiya ne kaha pareshan mat ho aisa kuch nahi hoga aur waha par sach me koi nahi kuch din beet gye aur phir se ek din jab chidiya wapas aayi to baccho ne bataya ki aaj phir se kisaan aaya tha aur wo keh raha ki kal wo khud aayga aur fasal kaat dega to chidiya ne kaha haa ab humara jaane ka sahi waqt aa gya hai aur chidiya apna parivaar le kr doosre ghar me chali gyi aur usi din kisaan aaya aur fasal kaat di to baccho ne chidiya se poocha ki tumko kaise pata chala ki aaj kisaan fasal kaat dega to chidiya ne jawaab diya usne kal kaha tha ki wo khud hi fasal kaatega to uska matlab tha ki wo aaj kaat hi dega ,abhi tak wo doosro ke karwane ko soch raha tha isiliye uska kaam nahi ho raha tha.Is duniya me doosro ke bharose koi kaam nahi hota hai.
Isiliye mai kehta hu ki kabhi kisi aur ke bharose mat baithiye apne kaam ko khud karne ki himmat kijiye.
-Story Amaze

Comments