M kya hu,kaisa hu ,kaun hu mai ?
Jo sab kuch bina alfaazo ke keh de,woh maun hu mai.
Maa ne kaha juda hu mai
Ek pal ko laga khuda hu mai
Dushman ne kaha andheri raat hu mai
Mujhe laga koi adhoori baat hu mai
Mehbooba ne kaha uske dil ke paas hu mai
Mujhe laga kuch khaas hu mai
Inhi saay me umar katti gyi
Meri kahani isi me badhti gyi
Mujhe laga zindagi maine kaat diya
Poori zindagani ko maine paar kiya
Par..........
Parr............
Parrrrrrr...........
Abhi shayas bahut se dard aur jhelna tha
Shayad abhi mujhe maut se bhi khelna tha.
Comments