Be always Happy

Kisi mahaan insaan ka to nahi shayad magar mera ye zaroor maanna hai ki khushi aapke andar hogi ye dhoondne se nahi milti,chaliye aap sab ko ek kissa sunata hu ki ek seth ki dukaan me ek naukar kaam  kiya karta tha aur wo naukar bahut mehanti thi aur uski mehnat aur lagan se seth bhi bahut khush tha ,sab bahut accha chal raha tha magar ek din us naukar ne seth ko bina bataay chutti kar li to seth kaafi pareshan hua to usne socha ki kahi aisa to nahi ki naukar ki tankhwaah kam to nahi de raha jiski wajah se wo kaam chod na de qki naukar itni mehnat se kaam karta tha to seth ne naukar ki tankhwaah badha di aur agle din naukar aa gaya aur seth ne usse kaha ki dekho maine tumhari tankhwaah badha di h aur tumhe ab se badhi hui tankhwaah milegi magar us naukar ne is baat koi reaction nahi diya na hi wo khush hua aur na hi gussa ya dukhi ,seth ne socha ye kaisa aadmi hai aur phir kuch din aise hi chala wo naukar acche se kaam karta raha aur ek din acchanak phir se naukar ne bina bataay chutti kar li to seth bahut gussa gaya aur socha ki bada ajeeb aadmi hai maine uski tankhwaah badha di to b khush nahi hua aur phir se bina bataay chutti kar li to seth ne uski tankhwaah phir se ghataane ko sochi aur agle din jab naukar phir aaya to seth ne usse gusse me kaha ki mai tumhari tankhwaah kam kar raha hu ab se tumhe utni hi tankhwaah milegi jitni pehle milti thi magar is baar bhi naukar ne kuch reaction nahi diya to seth gussa gaya aur poocha ki jab tumhari tankhwaah badha di tab bhi tumhe khushi nahi hui aur aaj tankhwaah ghata di tab bhi tumhe dukh nahi hua  aisa q hai bhaii??? To us naukar ne jawaab me kaha ki jis din maine pehla naaga kiya tha tab mere ghar mera baccha paida hua tha aur agle din aapne meri tankhwaah badha di to maine socha ki upar wale ne mere bacche ka hissa bheja hai isiliye mai khush nahi hua


Read this aricle ,comparison between samsung m20 and redmi 7

Aur jab mai doosri baar nahi aaya to meri maa ka dehaant ho gya tha aur aap ne meri tankhwaah ghata di to mujhe laga ki upar wale ne meri maa ka hissa mujhse wapas le liya hai isi liye mai dukh nahi hua.


Ye kahaani hum sab ko bataati hai ki hum  sab ko humesha apne karmm par dhyan dena chahiye bina fal ki chinta kare aur hume apni zaroorat se zyada ki laalach nahi karni chahiye.

For more these kind of story,check it my blog-
         www.storyreact.blogspot.com
   Thank you.

Comments