Cycle of life

Aaj mai aapko kissa sunata hu aur kisse ki aankhir me kuch sabaq b batata hu jo maine seekhe hai zindagi me aur aap bhi seekhiye -
Baat jab ki h jab mai chota tha tab ek shaam baba mjhe kuch dikhane ke liye baahar le gay  aur meri aankhein band kar li aur ek zorr ki aawaaz ke sath meri aankhe kholi to mere saamne ek chamchamati cycle khadi thi aur us cycle ko dekh mera nanha sa man uchal kood karne laga magar jab meri nazar suport wheels ki gayr maujoodgi par padi tab m mayoos hua magar baaba mera darr pehchan chuke the to unhone mujhse kaha Main hu naa.Agle din baba ne hume subah jaldi uthaya aur cycle chalane ke liye kaha mai phir dara magar baba ne kaha Mai hoon Na to hum dono baahar nikle kuch door baba ne pakad kar chalaya aur mai kuch door unke sahaare aage badha magar phir baba ne apne sahaare ko chalne ko kaha to mera nanha sa seham sa gaya magar baba ne phir us dar ko pehchana aur kaha ki Main hoon Na.to m khud dheere dheere chalane laga ab mujhe laga ki ab mujhe baba ki zaroorat nahi aur mai cycle aur tez chalane laga m bahut khush tha magar raaste me gaddha aaya aur mai gir gaya, baba daudte daudte aaye mujhe uthaya ghar le gay aur marham patti kara magar mai sehma tha maine baba se kaha ab mai cycle nahi chala paaunga to mere baba ne kaha beta ye jo aani wali tumhari zindagi hai wo isi cycle ki tarah hai jab tak tumhe akele nahi jeena seekhte ho tab tak tum kisi doosre ka sahara dhoondte ho magar jab akele rehna seekh jaate ho to us sahara dene wale ko bhool jaate ho aur zindagi k is safar mein aise gaddho jaisi pareshani to aati rahengi magar hume in mushkilo ko hume apne apno ke sahare k sath ladna hoga aur jeetna hoga baba ki ye baat sunkar mere andar ek naya josh aaya aur agle din mai subah utha aur akele hi cycle se ek lamba round laga kar wapas aaya aur baba se kaha lo aaj mai cycle chalana seekh gaya to ek pal ruke aur muskuraay aur kaha ab tum zindagi jeena bhi seekh gay.

Is kisse me humko ye pata chalta hai ki hume apne bure waqt me zyada kisi par depend nahi hona chahiye aur na hi acche waqt me kisi ko ya kisi ke ehsaan ko bhoolna chahiye.
For more these kind of story ,check it my blog daily at evening everyday and for all stories visit my blog "www.storyreact.blogspot.com

Comments