Ek kissa aap sab ko sunana chahunga jab hum chote the -
Maheene ke har 10 tareeq ko humaare ghar khushiya aati thi qki us din baaba ki tankhwaah aati thi maana tankhwaah kam hoti magar khushiyaa bahut hoti thi qki baba kehte the khushiyo ko paiso keemat se nahi aanknaa chahiye to har maheene ki tarah 10 tareeq ko baba ki tankhwaah aayi aur har maheene ki tarah is baar b tankhwah k doosre din mai aur baaba shaam me ek choti cycle k handle me do jhole baandh kar maheene bhar ki khushiya khareedne chale gye.Accha maine aapko bataya ki mere baaba ki ek khaas aadat thi wo mujhe humesha apna pita kam dost zyaada maante the aur m b kabhi b koi pareshani me hota ya unse kuch karne ko poochta to wo mujhse kehte agar tumhe ye sahi lag raha hai to tum ye karo aur unke ye kehne ke baad pata nahi q mujhe sab kuch sahi sahi samajh aa jata tha.
Isi tarah hum log us din maheene ka saamaan le kar laut kar ghar wapas aay to baaba ki nazar ek sabun tikiya par padi unhone usko uthaya aur hisaab milaaya phir kuch der shaant rahe phir mujhse kaha tum yahi ruko m abhi aata hu maine poocha kya hua to unhone jawaab diya ki dukaandaar ne 5 rupay ka hisaab kar ke 10 rupay waali sabun ki tikiya de di to maine muskuraya aur kaha ki 5 rupay ke liye itni mehnat q ab chodo bhi aur rehne do ,wo palte unhone kaha ye mujhe galat lagta hai to mai ye nahi karungaa.M kuch der waha intezaar karta raha ,agle pal baabaa aay to maine poocha ki unhone itni mehnat aakhir q ki to unhone kaha mujhe ye sahi nahi lag raha tha to mai ye ni kar sakta tha ,waha par baat 5 rupay ki nahi thi waha baat imaandaari ki thi aur imaandaari apne aap se ki jaati kisi ko dikhaane k liye us din baaba ki ye baat sunkar dil ko bahut khushi hui aur hum dono ek doosre ko dekh kar muskuraay aur sone chale gay.
Magar us din se baaba ki ye baat waqt mere kaano me goonjti hai ki imaan-daari to khud se ki jaati hai kisi dikhawe ke liye nahi aur ab har roz nikalta hu sirf yahi tamanna liye ki kabhi baaba ki dee gyi us seekh se na bhatku....
Thanking you all.
For more these kind of story check it my blog at evening everyday and for more poetry visit there-
https://youtu.be/XoxxDny9Eyk

Comments